Streem Image

Diva Films Production

Channel: Diva Films Production
Profile Image


Indian never again NIRBHAYA


Indian never again 
NIRBHAYA 


Katha sar

Rape yani balatkar, ye ek aisa apradh hai jiski sankhya duniya me ghatne wali apradhon me sabse jyada hai. Aankado ki bat karain to duniya me har sal dhai lakh se jyada rape case darj hota hai. Aur to ab rape jaise sabdon ko sunne ke liye hum sab aadi ho gaye. Balatkar kewal purushon ka swachhand younachar ya pratishodhparak wasna ka vikrit roop hi nahi, waran stree aur uske pure parivar ko dhuri vihin kar dalne wala jaljala hai. Jiski vayawah dhamak sab kuchh sesh ho Jane ke bad vi sabhi dishaon me der tak prati gunjit rehti hai. Ye film vi desh ki rajdhani Delhi me 16 December 2012 ko chalti bus me ghatit rape evm hatya kand ka prati gunjit roop hai. Sath hi balatkar ke nishedhatmak prabhawon tale dam todti stree ko bachaye rakhne ki bechain ladai ka pratik vi. Yeh film Rajnath Singh (raju kher) beta aur beti me koi fark nahi samajhne wala insan apni beti Nirbhaya (richa sharma) ki medical ki padhai ke liye patni k mana karne bawjood vi bank se karz lekar use medical me dakhila dila deta hai. Nirbhaya vi apne pita se yeh wada kar ki jis terah Rajnath ne apni patni ko kaha tha ki aaj to maine sirf karz liya hai, aur kal yadi Nirbhaya k sapne ko pura karne k liye agar khud ko bechna v pade to wo vi karne me nahi hichkenge ke prati uttar me apne pita ko unke sare sapne ko pura karne ka aashwasan de medical ki padhai me dilo jaan se jut jati hai. Sath hi college me apne ek dost Rudra (Ravi Kumar) se degree mil Jane ke sada sada ke liye ek duje ko ho Jane ki kasme vi khate hai. Isi kram me ek sham Nirbhaya apne dost Rudra ke sath film dekhne ka program banate hai. Nirdharit samay par we log Delhi ke ek mall me film dekhne jate hai. Lautne ke kram me koi gadi nahi milne par we log ek auto rickshaw se Munrika pahuchten hai. Wanha vi bus stop par khade hokar gadi ka intezar karte hai. Kafi der ke bad ek private bus jo dwarka sector ek ki or ja rahi thi par we dono sawar ho jate hai. Kuchh hi minto bad bus me pehle se baithe yuvkon par darindgi sawar hona suru ho jata hai. Sabse pehle bus conductor dwara darwaja band kar diya jata hai tatha Rudra ko gandi gandi galiyan dete hue uske sath mar peet shuru kar deta hai. Uske banki doston dwara Nirbhaya ko khich kar bus ke pichhle hisse me le jaya jata hai aur bari bari se unke dwara balatkar Kiya jata hai. Nirbhaya chikhti rehti hai, lekin chalti bus ke band darwaje aur khidkiyo ke bahar bhala uski dardnak chikh koi sunta vi to kaise. Un darindo dwara kareeb ek ghatne tak Nirbhaya ke sath balatkar Kiya jata reha. Nirbhaya dard se karahti rehi, roti rehi, hath jod kar chhor dene ka anurodh karti rehi. Fir vi un darindo dwara nirmamta ki had par kar lohe ke rod ko uske pet me ghuser diya jata hai. Aur ant me chalti gadi se un dono ko sadak par phenk diya jata hai. Nirbhaya ki zindagi ko jehannum bana Dene wale darindo ka sargana tha babu rao(shailendra srivastav) unke sathiyon me sabse durdant langda (raju shrestha) sycic Gullu (Gopal k. Singh), Chhagan (Anil yadav), aur driver Ghosh urff Lallan (k. Adhikary) shamil the. Nirbhaya ke sath hui haivaniyat ki is ghatna ne n sirf pure desh ko stabdh kar diya balki doshiyon ko avilamb giraftari ki mang ko lekar log sadak par uter jate hai. Udhar safdarganj hospital me zindagi aur maut ke bich chal rahi jung me Nirbhaya haar jati hai. Dard jab beinteha badh jati hai to insan use jad se mita dena chahta hai. Nirbhaya vi aise hi dard se gujar chuki hone k karan we un darindo ko mita dena chahti thi, jinhone use dard ki aisi andheri surang me pahucha diya tha janha zindagi ki raushani kavi nahi pahuche. Nirbhaya ne apni aakhri khwahis yehi jatayee thi ki un savi ko zinda jala dena chahiye taki ye apradhi log kisi aur ladki ke sath aisa anachar aur atyachar na kar sake. Sath hi is terah ki apradhi pravriti ke logo ke man me bhay paida ho. Kya Nirbhaya ki aakhri khwahis puri ho sakegi, kya kanooni ladai me Nirbhaya ko insaf mil payega. Aise hi anutarit sawalo ka jawab janne ke liye dekhiye - never again NIRBHAYA

by K Adhikary